vo ruqsat kya hui, saari basti bevajah si lagti hai,
vo jo saath nahi, to khudki hasti bevajah si lagti hai.
ye chidiyon ka chehekna, ye baarish ki thandi boond,
ye lehron ki mouj, in havaon ki masti bevajah si lagti hai.
na ab bharosa kar payenge kisi mouhabbat pe hum,
kya kahoon ab to khuda ki sarparasti bevajah si lagti hai.
toofan se ghira hoon, na kinara najar aata kahin,
har taraf samundar hai, par har kashti bevajah si lagti hai.