Masroof maykhaano mein log jaane kya kiya karte hain,
hum to andheri shaamon mein, tanhai mein piya karte hain.
yaar poochte hian ke hum itna kyun peetein hain,
kya bataoon doston, isi ke sahare hum jiya karte hain.
jaam haath mein liye apne dar ko shaam bhar taakte hain,
shayad kabhi vo aa jayein, jo hamien dard diya karte hain.
shayari ki tohmat na lagana koi 'majrooh' par,
kaafiye ke bahaane vo to dard-e-dil bayaan karte hain.

0 Comments:
Post a Comment
<< Home